Crypto Market Update 1 August 2025

Market Update – 31 July 2025 | Urdu | Hindi

Aaj ka market mix signals de raha hai. Fear & Greed Index thoda neeche aaya hai 62 tak, lekin overall sentiment abhi bhi stable hai. BTC dominance mein –0.20% ki girawat hai (61.48%), jo altcoin strength ka signal hai. Total market cap +0.43% barh kar \$3.82 trillion par aa gaya hai, jabke altcoin market cap +0.75% strong recovery show kar raha hai.

BTC ne +0.27% ka halki si growth dikhayi hai. ETH +1.49% ke sath upward momentum mein hai. SOL –0.99% aur BNB –1.53% thoda neeche gaye hain. XRP +0.07% se green mein hai, jabke DOGE –1.12% gir gaya.

Aaj ke crypto market mein halka sa positive mood nazar aya hai. Fear & Greed Index 62 par hai lekin thoda neeche gaya hai, jo batata hai ke market mein thoda cautious behavior hai. BTC dominance mein -0.20% ki girawat hui hai, jo ye suggest karta hai ke investors ka thoda zyada interest altcoins ki taraf shift ho raha hai. Total market cap 1.11% barh gaya hai aur altcoin market ne 1.44% ka acha jump dikhaya hai.

Price action ki baat karein to BTC ne 0.48% ka chhota sa gain liya hai aur ab $118,871 par trade kar raha hai. ETH bhi 1.30% barh gaya hai aur $3,867 tak pohanch gaya hai. XRP, BNB, aur DOGE ne bhi positive movement dikhai hai. Sirf Solana thoda neeche aaya hai -0.10% ke saath.

Strategy ne $2.5 billion raise kiye hain apne naye STRC preferred stock offering ke zariye, aur is fund se unhone 21,021 BTC kharide hain. Har coin ka average price $117,256 tha. Yeh 2025 ka sabse bara IPO ban gaya hai, aur Strategy ki BTC holdings ab 628,791 coins tak pohanch gayi hain.

Yeh move dikhaata hai ke corporate treasury models crypto world mein kaafi aggressive ho gaye hain. Strategy pehle hi BTC ka sabse bara public holder hai, aur ab naye stock offerings ke zariye woh Bitcoin ko aur accumulate kar rahe hain.

Market ka mood stable hai lekin zyada bullish signals tab ayenge jab BTC $120K ke upar consolidate kare. Aaj ka din BTC buying sentiment aur institutional moves ke hawalay se kaafi aham rahega.

Fear and Greed: 62/100

BTC Dominance: 61.57% | -0.04%

Total Market Cap: $3.83 Trillion | +0.68%

Altcoin Market Cap: $1.47 Trillion | +0.76%

Main Coins (24h)

BTC: $118,604.74 | +0.72%

ETH: $3,834.99 | +1.52%

SOL: $179.62 | +1.11%

BNB: $798.70 | +1.84%

XRP: $3.13 | +1.97%

DOGE: $0.22 | +1.96%

UTC 12:53 ka matlab hai ke yeh update Universal Time ke mutabiq hai, jo duniya ka standard time hota hai. Pakistan ka time UTC se 5 ghante agay hai, to yeh update Pakistan ke mutabiq 5:53 shaam ka hai.

Fear and Greed Index 62/100

62 ka score dikhata hai ke log market mein thora trust rakh rahe hain lekin greed mein kami ho rahi hai. Jab yeh score 50 se upar hota hai to matlab hota hai ke log buying ke mood mein hain, lekin jab score neeche jata hai to market mein halki uncertainty hoti hai.

Yeh index kaise banta hai?

Yeh AI tool kuch cheezon ka analysis karta hai, jaise:

BTC ki price kitni tezi se upar ya neeche ho rahi hai

Log Google pe kya search kar rahe hain (e.g. buy bitcoin ya crypto news)

Twitter aur YouTube jaise platforms par logon ka mood

Market volatility yani price kitna jaldi change ho raha hai

In sab cheezon ka AI analysis karke ek score deta hai jo aap daily website alternative.me par check kar saktay ho. Lekin yaad rahe, yeh index 100% sahi nahi hota, kabhi kabhi market iska ulta bhi behave karta hai.

BTC Dominance 61.57% | -0.04%

BTC dominance ka matlab hota hai ke total crypto market ke paisay ka kitna hissa sirf Bitcoin mein hai. Aaj yeh thora sa gira hai, iska matlab altcoins mein bhi log invest kar rahe hain.

Total Market Cap $3.83T | +0.68%

Yeh crypto market ki total value hai. Aaj yeh barh rahi hai, iska matlab market mein buying interest wapas aaya hai.

Altcoin Market Cap $1.47T | +0.76%

Altcoins ka combined value barha hai, iska matlab log sirf Bitcoin nahi, baqi coins mein bhi paisa daal rahe hain.

Main Coins

BTC +0.72%, ETH +1.52%, SOL +1.11%, BNB +1.84%, XRP +1.97%, DOGE +1.96% – sab coins ne achha perform kiya hai. Aaj ka market clearly green hai aur almost har major coin ne gain kiya hai.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *